SEO Friendly Blog Post कैसे लिखे (Full Guide 2021)

Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe
Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe

Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe“SEO Content Writing Kaise Karen for New Blogger” is topic ke uper jankari dunga, Blog Me Completely SEO Friendly Post Kaise Likhe?

Agar aapke pass koi bhi Website/Blog hai to us par SEO Content Writing bahut hi jyada jaruri hai. SEO Content Writing aapke website ko Effective bnata hai aur sath hi sath ranking me bhi help krta hai. Ager aap ki website me User Friendly article hai to google aapke post ko sabse pehle top list me rank krega. To aap ko is baat ka dhyan rakhna hoga ki aapka article simple hone ke sath sath User Friendly bhi ho. Sabse pehle hum SEO ke fayde jante hai.

Wordpress Blog Me SEO Friendly Article Kaise Likhe
WordPress Blog Me SEO Friendly Article Kaise Likhe

Article ki SEO Kyon Jaruri hai ?

Ek SEO article ya fir user friendly article hame is prakar se help karta hai :-

Quality Traffic ko Increase karta hai

Ager aapki website pe traffic aata hai to Isse aapki Revenue badhegi

SEO Friendly Blog Post कैसे लिखे 2021

Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe, SEO friendly article likhne ke liye aap ek plugin ka use kr sakte hain. “SEO by Yoast” plugin aapke liye kafi helpful rahega kyonki me bhi is plugin ko use kr rha hun. Is plugin ko handle krna kafi simple hai aur yeh ek dum free hai. Sath me aap iska premium version bhi le skte hain jisse aapko extra features milenge. Agr aap ek new blogger hain to me aapko suggest karunga ki aap free wala use kren. Isko install karne ke liye in steps ko follow karen.

  1. Admin panel ko open kren.
  2. Plugin ke section me jaye.
  3. “SEO by Yoast” plugin ko search karne ke baad usko install kijiye. Fir Activate kijiye.
wordpress me seo friendly post kaise likhe
wordpress me seo friendly post kaise likhe

Is plugin ko activate karne ke baad aapko nayi post likhni hai aur yeh plugin aapko article likhte time help karega. Plugin ko check karne ke liye aapko article ke bottom part ko check krna hai. Aur sath me yeh plugin aapko Focus Keyword set karne me bhi help krta hai. Free version me aap ek hi Keyword ko set kar sakte hain lekin premium me aap ek se jyada keyword set kr sakte hain.

Article likhte samay in baton ka dyan rakhen

  • Readability :- Aapki post ekdum simple words me likhi honi chahiye. Aap kam sa kam difficult words ka use karein takki sbhi user ko samjh me aaye.
  1. Word Length :- Aapke article me jitne jyada word Length hogi aapka article utna hi jyada rank hoga. Aap apne article ko kam se kam 500 words me jrur likhen. Aur sath me hi aapko article me subheading ka bhi use krna hai.
  2. Links :- Links website ki SEO me kafi important hai. Aap apne article me Inbound or Outbound link ka use kr sakte hain.
  • Inbound link – Inbound link vo link hai jo aapki website me internal linking me help karta hai. Aap kam se kam 2 Internal links ko add kren taki aapke visitors aapke dusre articles ko bhi pdhen.
  • Outbound link – Aap website me External link bhi add kar sakte hain. E.g- Ager article ke bich me koi aisa word aata hai jo difficult hai to aap us word me kisi dusri website ka link add kr skta hain. Isse aap ki website ka trust flow bhi badhta hai.

4. Images :- Aapko kam se kam 1-2 images bhi article me add karni hogi kyon ki image har cheez ko aasani se help karne me useful hoti hai. Aur sath me aapko yeh bhi dhyan rakhna hai ki aapko hamesha hi Image me Alt text add krna hai.

 

5. Focus Keyword :– Is baat ka dhyan rakhna ki aapki har post me Focus keyword hona jaruri hai. Aur sath me hi aapko focus keyword in jagahon pe use krna hai –

  • Post ke URL main
  • Post ke Title main
  • Subheading main
  • Post ki shuru line main
  • Meta description main

Main aasha karta hun ki mera yeh article aapke liye helpful rahega. Agr aapko is article se related kuch bhi jankari chahiye to aap niche comment box me comment kr sakte hain.

Visit at My Website : http://funandfactz4u.com

36 COMMENTS

  1. क्या खूब लिखा है आपने. अगर इस तरह से आर्टिकल लिखेंगे तो गूगल में फ़ास्ट रैंक होगा. आपका बहुत – बहुत धन्यवाद

  2. भाई मेरी वेबसाइट एडिशन में अप्रूव करा दो भाई आपसे विनती करता हूं भाई आपसे मैं बहुत परेशान हो गया हूं मुझे 1 साल हो गया है 8 साल में अप्रूवल नहीं मिल रहा है भाई आपका पेमेंट होगा वह मैं कर दूंगा जितना भी प्लीज एक बार मेरी वेबसाइट एक वेबसाइट गूगल ऐडसेंस मैं अप्रूवल दिला दो

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here