Apna Brain Power Kaise Badhaye

7
Brain Power Increase
Brain Power
Dosto, ham sabhi apne aas-paas dekhta hai, ya sunte hai, ya akhbar me padhte hai ki vah ladka ya ladki ne iss saal Bank, SSC, Railway, HSC ya UPSC ki exam me top kiya hai. Aur unka interview liya jata hai. Jo ham akhbar ya TV me dekte hai. Aur ham sochte hai ki me bhi top karu aur mera bhi interview liya jai aur mera bhi photo akhbar me aae. 

Dosto, agar aap school, college ya koi bhi exam me top karna chahte hai, to iss post ko pura padhe. Me iss post me 4 tips share karuga. Jisko aap follow kar ke topper ban sakte hai. 
 
How to increase brain power
 
Life learning books in Hindi
 

Motivate yourself

Free online courses 

1. Follow these statements from the beginning of the year.

  • School ya college me jo bhi padaya jata hai, Use dyan se sune aur samajh ne ki koshis kare. Agar nahi samajh aa raha hai, to teacher se puchte rahe jab tak samajh nahi aa jata. 
  • Har month naya time table banai aur uska palan kare.    
  • Ek subject ko kam se kam tin din aur jyada se jyada ek week tak padhe.
  • Jo samay aapne padne ke lia nischit kiya hai, utna hi padhe.
  • Padhte samay jaruri muddo ke niche underline kar de aur revision me unhi muddo ko padhe.

2. Barriers of studies

  • TV dekhte samay ya radio sunte samay kabhi na padhe.
  • Padhne ke samay aalash na kare. kyoki aalash se cut jane se acha hai, mahnat se ghis jana.
  • Hamesha aesi jagah ja kar padhe jaha shor aur logo ka aana-jana na ho. 

3. Preparations before the exam

  • Exam ke 2 month pahle se hi padhai shuru karde.
  •  Koi bhi topic ko ratne se acha hai, ki use samaj kar padha jai.
  • Agar koi topic samaj nahi aa raha he to dusro se madad lijie. ya fir you-tube aur google ka use kar ke use samajh ye.
  •  Exam me kya hoga ya exam paper kesa hoga. ye sab soch kar aapna time waste na kare.

4. While writing a paper

  • Paper likhne se pahle dimag ko santh rakhe. aur prathna kare.
  • Paper sundar akshar se likhe aur jyada galti na kare jis se aapko use cross karna na padhe.
  •  Koi bhi question ka answer dia gai marks ke hisab se likhe.
  • App ko jitna aata hai, utna sampun likhe aur chori kar ke na likhe.
  •  Ho sake to har question ko figure ke sath samjhane ki koshish kare.
  • Agar paper khatam hone ke badh samay bache to pura paper ek bare padhle.
Agar Apko Aise Hi Jankari Chahiye To Visit Kare,   Knowledge for Us,
 

 

7 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here