Happy Holi 2020 || Rango Se Bhara Holi ka Parv Hai

Happy Holi 2020
Happy Holi 2020

Holi ka Mahatva! होली 2020 – महत्व, होली त्यौहार


Falgun shukla ashtami se lekar holika dahan Purnima tak Holashtak rahta hai . Is din se garmi ka mousam start ho jata hai . Or koi bhi shubh kam ka aarambh nhi hota hai .

 jaha par holika dahan hota hai waha par phle ganga-jal ka chidkav karke

 us  sthan ko shudh kiya jata hai . Tatpachat  Fir kuch lakdiya ikadhi , kuch pavitra gaay ke gobar ke kande  is trah sari samagri kadhi ki jati hai or holika dahan ki tayari ki jati hai .

 Is holika dahan ke  sthan par  purnima ki shubh tithi dekhakar ratri ke samya sare log  ektrit hote hai . Sare log apne-apne ghar se puja ki thal   late hai or sath me pavitra gobar ke kande bhi late hai . Or puja aarambh hoti hai aarti hoti hai fir us aarti ke diye se hi holika ko agni prajwalit ki jati hai . Fir sab us holi ki pradikshna bhi karte hai , puja ke baad sb ek- dusre par gulal ka tilak lagate hai itna hi nhi sb ek dure ke gle bhi milte hai . 


Is din har koi ek dusre se agar man-mutav ho to wo bhi bhul kar ek- dusre ke gale lag jate hai.Holi yah tyohar hota hi esa hai . 


Dusre din dhurendi hoti hai . Is din sab ek -dusre ke ghar jakar holi khelte hai . Koi sukhi holi khelta hai ya koi gulal se rangta hai . Alag-Alag tarah ki mithaiya bhi banate hai . 


 Chote bacho ko to holi  khelna sabse adhik priy hota hai . Khaskarke bacche pani se gubbare bharkar ek-dusre par fekte hai . 


Is holi  ki puoranik katha bhi mani jati hai  . — 

Ek katha ke nusar Hiranya-kshyap jo bhakt pralhad ke pita the . Unko apne-aap par kafi ghamnd tha . Or wo khud ko Bhagwan samjhte the . Or unke viprit unka beta Pralhad , Bhagwan Vishnu ka bhakt tha . Or yah baat Hiranyakashyap ko kadapi pasand nhi tha ki, mera beta, vishnu ko bhagwan samjhe, wo chahte the ki prahlad   .Vishnu bhakti ko chodkar meri puja kare . Lekin  pralhad  Pita ki bat nahi  maane . 

Tab Hiranyakashyap ne pralhad ko marne ki yojna banai . Is yojna me  unhone bahan Holika ki madad mangi . Kyoki holika ko agni  se koi bhi hani nhi hone ka wardan prapt tha . Holika apne bhai ki help karne tayar ho gyi . 


Or jis din holika dahan ke waqt , pralhad ki bua pralhad ko lekar holi par ja baithi , lekin pralhad Vishnu Bhakt honese bach gya or bhua jalkar bhasm ho gyi .


Us din se yah tyohar burai or achhai ka margdarshan karta hai .

Isliye is holi ke parw par sab dushmani , burai Ko chodakar achhai ko apnate hai.


9 COMMENTS

  1. Sir Maine .in domain liya h 1 month ho gya. Phle . blogspot domain tha 7 mahine old.
    But per day traffic 50 – 60 hi aata h ye kb tk increase Hoga, abhi TLD domain liye 1 month hi hua h waise. AdSense approval bhi mil Gaya but usse bhi earning nhi ho rhi h.
    My blog :- WayToidea.in

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here