Online Business Kya Hai aur Kaise Kare Puri Jankari

13
Online Business Kya Hai aur Kaise Kare
Online Business Kya Hai aur Kaise Kare
Hello Friends, Online Business ke bare me to aapne pahle kai bar suna hoga lekin bina kisi investment ke online business start karna ya bina koi paisa lagaye online business ke bare me shayad hi aapne suna hoga. Lekin aaj hum yahan par isi ke baare me baat karenge. Friends, ek bat mai aapko bata dena chahta hu ki jab bhi apne blog par mai koi post share karta hu ya fir apne YouTube channel par koi video upload karta hu to pahle mai khud practical karke dekhta hu ki jo mai post kar rha hu ya fir upload kar rha hu yah vakai me sahi hai nhi hai. Yaha par mai ek shandar online business ke baare me bataunga, isliye yah puri post aap dhyan se padhein.
Yadi mujhe lagta hai ki ha ye vagai me sahi hai tabhi mai apne channel ya blog par post dalta hu. To aaj hum yaha par bat karenge ki hum ghar baithe apna online business kaise shuru kar skte hai vo bhi bina koi paisa lagaye yaani Zero investment ke.

Online Business Kya Hai aur Kaise Kare ?

Friends, Jaise ki hum apne ghar se ya fir apni shop se koi business karte hai to humko limited customers hi milte hai. Yani jo tumhe ya fir hamari shop ko jante hai bs vhi log hamare customers ho skte hai ya fir yadi koi hamara customer uske kisi friend ko ya relative ko refer karta hai to vo bhi hamara customer ho sakta hai. Lekin yaha par humko limited customers hi milte hai. Lekin yahi business yadi hum Internet par kare to use online business kaha jata hai. Online business me hume na koi ghar ki jarurat hoti hai aur na hi kisi shop ki humko jarurat hoti hai. Hum jaha chahe vha baithkr online business kar skte hai. Vaise to duniya me kai sare business hai online karne ke liye lekin aaj hum yaha par bat karenge apne Notes, PDF ya study material ya fir koi ebook, magazine, comix sale karne ki.
Yadi aapko article likhne ka shauk hai ya fir aapke paas apne khud ke liye hue koi study notes hai, ya fir aap ki likhi hui koi comix hai ya koi ebook hai ya fir aisi koi book jo aapne khud ne likhi hai aur aapke computer ya laptop ya mobile me apne rakhi hui hai to aap use online sale karke paise kama skte hai. Iske liye aapko koi paisa kharch nahi karna hai. Bas ek website par upload karna hai. Website par upload karne ka bhi koi paisa nahi lagega. Bs simply aapko us website par registration karna hai aur apna account create karna hai. Jab vo book jaise jaise sale hogi, jaise jaise log use online purchase karenge vaise vaise apne account me paise add hote jaenge. Aur weekly kuchh % fees kaat kar aapke Bank account me baaki amount transfer kar diya jayega. Iske liye aapko apna Bank account is website par dalna hoga. To aaiye dekhte hai ki kon si website hai ye aur kaise is par apna business shuru kiya jata hai.
PDF, Notes, Study Material, eBook, magazine Online kaise sale kare
Sabse pahle aap apne mobile/computer/laptop me browser open kar lijiye. Iske baad browser me type karein -> InstaMojo
Is website par jaane ke baad aapko simply SignUp par click kar lena hai. Aur apna registration kar account bana lena hai. Aap chahe to apne Facebook ya Gmail account se sidhe login bhi kar skte hai.
Instamojo ek behtarin platform ya website hai jaha hum bina paisa lagaye apna online business start kar sakte hai. Mujhe bhi is pr bahut achha response mila hai. Isliye mai aapko iske bare me aaj bata rha hu. Ab hum dekhte hai ki kaise hum apne notes ya eBooks is par upload kar sakte hai.
keyword- Private jobs in bihar Visite

13 COMMENTS

  1. Nice Post Amit Bhai Amit Bhai Aap se ek saval hai mai kabhi bhi aapki post share karta hu to share nahi hoti hai or esa error meri website par bhi dikha raha hai please eska koi solution nikalo

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here