Mobile Number Location Trace Karne Ke 10 Best Android Apps

28
kisi ki location kaise track kare
Mobile Number Location Trace

Mobile Number ki location trace karne ki Top 10 Android Apps ke baare me is article me hum baat karenge. Ye apps ke help se aap Caller Location, Operator Name, Caller ID ke alawa bhi kafi kuch information deti hain.Internet par aaj ke time par kafi sare websites aur Android apps available hai. Par hum aapko is article me sabse badhiya 10 apps ke baare me bataunga. Number location kaise pata kare soch rahe to aaj 10 best androaid apps bta rahe jise mobile number trace kar sakte hai,

Contents

Mobile Number Ki Location Track Karne Ki Best Application

Aajke time par aisa kai baar hota hai ki Hume Kai anjaan numbers se calls aate hain aur vo Hume pareshan karte hain. Aur aapka bhi Mann karta hi hoga un numbers ke malik ko jaane ki. To, ye post bilkul aap ke liye hi hai. Is post ko read karne ke baad mujhe nahi lagta ki koi bhi aapko anjaan numbers se baar bar call Karke pareshan kar payega. To sidha badte main Humare main topic ki taraf.

Mobile Number Location Trace Karne Ke Top 10 Best Android Apps

Is post me hum inhi 10 Android apps ke baare me baat karne wale hain. Jo aapko bahut helpful honge aane wale wale samay me un numbers ki location, caller ID , operator name pta prn me Jo aapko pareshan karega.

1) Truecaller

Truecaller sabse best android app hai jo aapko caller ki location ka details batata hain. Aur ye aapke Contact list me a label saare Numbers ki bhi information aapko batate hain.

Truecaller Home Page
Mobile Number Location Trace Kare

Is aap ko shayad sabhi android users use karte hi honge.

Download Link:- Download Truecaller.

2) Mobile Number Tracker & Locator.

Ye Humare article ka 2 best app hai ye app basically aapko caller Location ke sath sath Satate ka naam, Service Provider, Service type, etc ke kaam bhi btati hai.Aur to aur friends is app ke 1 Million Downloads hai Google Play Store par. To, is baat se aap andaja lga sakte hain hai ki ye kitna accha app hai.

Download Link:- Download the App

3) Prey Anti Theft.

Prey Anti Theft one of the best and free anti theft app hai Jo ki Android, Windows, ioS, etc me perfectly Run karta hain.

Mostly ye app Phone khojne me istmaal hota hain aur agar aapka Phone khojne jata hain to aap aise bhi khoz sakte ho.

4) Foursquare:- Best City Guide.

Ye app mobile number track karne ke alawa aapke favourite places, movie theater, mall, Hotels, etc sab kuch apne nearby me search kar sakte ho.

Is me ek feature ke ke mutabik aap apne friends, family members ke sath recent activities ko bhi check kar sakte ho.

Download Link:-Download the app.

5) Bmobiles.

Bmobiles mostly har service provider ka number track karta hai, chahe vo BSNL, Airtel, Vodafone, Idea, Jio, etc. Mostly Indian Numbers ko hi track karne ke liye istmaal kiya jata hain.

6) India Trace.

Yah Website specially Indian Numbers ko locate karne ke liye banai gayi hai aur iske help se aap Area code, Service Provider, etc check kar sakte hain.

India Trace
Phone Number Location Trace Karne
To, mere opinion me aapko isse jarur ek baar try karna hi chahiye.

7) Mobile Locate.

Ye app Sabhi prakar ke mobile me properly work karti hain. Iske help se aap ek hi mobile se kafi sare Numbers ko trace kar sakte ho.

Mobile Location
Phone Number Location Trace Karne Best Apps

Is app se aap kareebi logo ki ya apne family members ki security ko bhi kafi acche tarike se banaye rakh sakte hain.

8) ShaPlus

ShaPlus aapke Smartphone ke call list ke saare Numbers ki location and like other apps ye bhi aapko unki complete information deta hain aur ye app bilkul bhi free hai aur ye ek dum ultimate level ke app hai. Aur agar koi bhi international number Hai to ye aapko uus number ke baare me specially batayega.

9) Mobile Number and Phone Location.

Ye app online mode par bhi kaam karta hain Matlab ki data pack ho ya na ho aap is app ka istmaal kar sakte hain.App aapko Country > State > City level par aapko location batata hai. Ye Telephone Operator aur Landlines par bhi acche kaam karta hai.

10) Mobile Number Tracker.

Yeh, site Google Maps ka istemal karti Hai aur kafi badiya tarike se kaam karte hain. Is site par jaane ke bad aap koi Mobile number type kar Dena aur phir ye site aapko us number ka City, Operator, Telecom Circle ke ke baare me bata detail hai.Aap iske site par visit karke iska Android app ko bhi Download kar sakte ho aap isme Mobile Location satellite mode aur map mode dono me hi dekh sakte ho.To, bas yehi Hai vo 10 app jinke use aap apne mobile ka location pata kar sakte hain.

Conclusion:-

Ye article me humne top 10 Android apps ke baare me bataya hai jin ke istemal se aap mobile number ki location ko trace kar sakte ho.

Kuch ka download link bhi humne Diya Hai aur kuch ka nni de paay hai. 

Mujhe puri umeed hai ki aapko ye post acha laga hoga. To, agar aapka koi sawal hai to usse Comment karke puch sakte hain. Aur ha Share karna na bhulien.

28 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here